hamare zehn se bas ye pareshani nahin jati hamari baat sach ho kar bhi kyon mani nahin jati pata bhi hai tumhein kuchh ai mere pahchanne walo ye wo surat hai jo mujh se bhi pahchani nahin jati kisi ka dil dukhana bhi kabhi achchha nahin hota hazaron koshishen kar lo pashemani nahin jati khuda ko bhul kar tum kis liye maghrur baithe ho tumhaare sar se kyon ye khabt-e-sultani nahin jati hazaron thokaren khate hain girte hain sanbhalte hain magar phir bhi kai logon ki nadani nahin jati