hazrat-e-dil ka tere nam se uthna girna wahi pahle ki tarah sham se uthna girna phir chale jaenge wo phir wahi furqat hogi kis liye wasl ke hangam se uthna girna kis ko fursat hai yahan kaun aziyyat dega wo to bas wahshat-e-alam se uthna girna main mohazzab hun mere sath adab se baitho main chala jaun to aaram se uthna girna jab tumhein mujh se zara si bhi mohabbat na rahi to ghalat hai na mere nam se uthna girna