hamari aankh mein do pal ki jo KHumari thi

hamari aankh mein do pal ki jo khumari thi
udhaari thi wo tumhein dekh kar utari thi

hamare shanon pe din bojh tha gharane ka
safar mein sham kati raat be-qarari thi

khulus nam ka panchhi tumhaare pas na tha
dagha tha jhut tha tum mein fareb-kari thi

tumhaare baad nae khwab ki talash mein the
hamari palkon pe wo ek raat bhaari thi

utarne mein meri umr sarf ho gai hai
wo dil-lagi ki jo chhoti si ek udhaari thi

hamari jaan ghuli ja rahi thi kya yun hi
badan mein jari wahi rasm-e-jaan-nisari thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close