aql thi aagahi ne mar diya did ko raushni ne mar diya ek bekas tha jis ke khwabon ko us ki be-chaargi ne mar diya hum ne chaha ki baat ban jae zist ki be-rukhi ne mar diya dekh kar pani mar gaya pyasa us ko sachchi khushi ne mar diya tha jo apna bana wo an-jaana phir usi ajnabi ne mar diya kya tajjub ki koi baat nahin aadmi aadmi ne mar diya