hamari aankhon mein rahta hai khatm hota nahin jo hum ne waqia dekha hai khatm hota nahin har ek zamane mein ye log mare jate hain ye kaun logon ka nauha hai khatm hota nahin tamasha dekhne walon ki aankhen jati rahin magar ye kaisa tamasha hai khatm hota nahin pahunchne wala hua karta hai koi na koi ek intizar ka arsa hai khatm hota nahin na jaane kitni hi raaton ke kaam aa gaya hai bada hi gahra andhera hai khatm hota nahin do-chaar budhe bhi aa baithte hain ladkon mein wo jo purana zamana hai khatm hota nahin