jo gali bhi thi mere shahr ki baDi aafaton mein ghiri rahi

jo gali bhi thi mere shahr ki badi aafaton mein ghiri rahi
kabhi kal chehron ka pad gaya kabhi khidkiyon ki kami rahi

jo guzarne wale zamane the badi khamushi se guzar gae
jo ghadi bandhi thi kalai se wo kalai hi se bandhi rahi

jo kiwad band pade hue the wo sare khulte chale gae
magar ek sada meri dastakon ki jo tere dar pe padi rahi

wo jo patriyan thin chamak chamak ke kisi ki aankh mein bujh gain
wo jo rail thi kahin raste mein badi bebasi se khadi rahi

wo jo dastaras mein tha moajiza use koi rasta nahin mila
mere hath mein thi jo raushni mere hath hi mein rakhi rahi

bada gahra rishta hai abr ka mere dil ki haalat-e-zar se
meri chhat pe barishen bhi huin meri aankh mein bhi nami rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close