hamari aql-e-be-tadbir par tadbir hansti hai agar tadbir hum karte hain to taqdir hansti hai asiron ka nahin kuchh shor-o-ghul ye aaj zindan mein mere diwana-pan ko dekh kar zanjir hansti hai kabhu pahunchi na is ke dil talak rah hi mein thak baithi baja us aah-e-be-tasir par tasir hansti hai tu surat us ki kya khinga apni dekh to surat musawwir is teri taswir par taswir hansti hai wahi hai mard jo ho ru-ba-ru tarwar ke 'hatim' ki munh ke pherte namard par shamshir hansti hai