husn ko chand jawani ko kanwal kahte hain un ki surat nazar aae to ghazal kahte hain uf wo marmar se tarasha hua shaffaf badan dekhne wale use taj-mahal kahte hain wo tere husn ki qimat se nahin hain waqif pankhudi ko jo tere lab ka badal kahte hain pad gai panw mein taqdir ki zanjir to kya hum to us ko bhi teri zulf ka bal kahte hain