hamari jab hamari ab hamari kab se kya matlab gharaz un ko gharaz se kya gharaz matlab se kya matlab aziz-o-aqriba par be-sabab wo zulm dhata hai khata-war-e-mohabbat to hamin hain sab se kya matlab agar hum jaan dete hain to un ke husn-e-surat par hamein bartaw se andaz se ya dhab se kya matlab khuda ka nam bhi lete hue main hichkichata hun wo puchhenge tumhaara nara-e-yarab se kya matlab wafaen kijiye pichhli jafaen bhul jaengi agar matlab hai to ab se hamein hai jab se kya matlab alag aana alag jaana alag rahna alag phirna rah-e-ulfat mein sab ko hum se hum ko sab se kya matlab jo mazmun-e-khat-e-pur-shauq mera wo nahin padhta ye matlab hai ki mujh ko mani-o-matlab se kya matlab agar main puchhta hun aap mere ghar kab aaenge to wo kahte hain aaenge magar is kab se kya matlab na mazhab hai na mashrab hai koi hum baada-khwaron ka hamein mashrab se kya nisbat hamein mazhab se kya matlab amir-e-khud-gharaz hi ko gharaz matlab se matlab hai faqir-e-be-gharaz ko hai gharaz matlab se kya matlab zamana gharq-e-bahr-e-gham jo hota hai to hone do tum apni khair mango 'nuh' tum ko sab se kya matlab