subh ke dard ko raaton ki jalan ko bhulen kis ke ghar jaen ki is wada-shikan ko bhulen aaj tak chot dabae nahin dabti dil ki kis tarah us sanam-e-sang-badan ko bhulen ab siwa is ke mudawa-e-gham-e-dil kya hai itni pi jaen ki har ranj-o-mehan ko bhulen aur tahzib-e-gham-e-ishq nibha den kuchh din aakhiri waqt mein kya apne chalan ko bhulen