hamari jagti aankhon mein khwab sa kya tha ghaneri shab mein uga aaftab sa kya tha kahin hui to thi halchal kahin pe gahre mein bigad bigad ke wo banta habab sa kya tha tamam jism mein hoti hain larzishen kya kya sawad-e-jaan mein ye bajta rabab sa kya tha hamari pyas pe barsa andhere ujiyale wo kuchh ghataon sa kuchh mahtab sa kya tha zara si der bhi rukta to kuchh pata chalta wo rang tha ki thi khushbu sahab sa kya tha ye tishnagi ka safar kat gaya hai jis ke tufail wo dasht dasht chhalakta sarab sa kya tha tamam umr khapaya hai jis mein sar 'bilqis' bhala wo be-sar-o-pa si kitab sa kya tha