hamari kaif saza-war-e-ehtisab nahin khayal-e-chashm hai kuchh saghar-e-sharab nahin wo be-naqab hua hai to ye tamasha hai do-chaar hone ki aankhon mein apni tab nahin ye mujh ko us ke taghaful se hai yaqin ki hae jawab-name so ai name ka jawab nahin sama raha hai yahan tak pari-rukhon ka jamal hamari aankhon mein khali maqam-e-khwab nahin buton ke parde mein hum dekhte hain nur-e-khuda khuda ke dekhne ki ai kalim tab nahin wufur-e-ashk se kyon hai gale talak pani hamara kasa-e-sar kasa-e-habab nahin main bazm-e-shahid-o-saqi mein kyon na wajd karun bara-e-zohd-o-wara aalam-e-shabab nahin kiya hai dagh ne kyon us ko manzil-e-khurshid hamara dil hai ye kuchh burj-e-aftab nahin hua hai man-e-didar-e-yar parda-e-chashm khuli jo aankh to kuchh darmiyan hijab nahin ye zabt-e-girya mein aalam hai be-qarari ka ki barq kaundti hai barish-e-sahab nahin bashar ke jism mein hai jaan maya-e-ghaflat so ai dida-e-taswir kis ko khwab nahin dila hai mausam-e-piri mahal jam-e-sharab baghair subh koi waqt-e-aftab nahin main ghash se us ke chhidakte hi hoshiyar hua kisi sanam ka pasina hai ye gulab nahin bahut fareb se hum wahshiyon ko wahshat hai hamare dasht mein 'nasikh' kahin sarab nahin