ta-abad hasil-e-azal hun main

ta-abad hasil-e-azal hun main
ya faqat luqma-e-ajal hun main

khud ko bhi khud se mawara chahun
apni hasti mein kuchh khalal hun main

mera har masala usi ka hai
us ke har masale ka hal hun main

us ki aankhon ka aaina-khana
jhil mein jaise ek kanwal hun main

gungunati rahi jise 'pinha'
mujh ko lagta hai wo ghazal hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close