hamari kawish-e-sher-o-sukhan be-kar jati hai ghazal kaisi bhi ho us ke badan se haar jati hai ye kaise marhale mein phans gaya hai mera ghar malik agar chhat ko bacha bhi lun to phir diwar jati hai mere khwabon ka us ki aankh se rishta nahin tuta meri parchhain akasr jhil ke is par jati hai chalo aazad ho kar kam se kam itna to hum sikhe koi sarkar aati hai koi sarkar jati hai jala kar thik se taqon mein in ko rakh diya jae to phir aise charaghon se hawa bhi haar jati hai