ahl-e-dil aur bhi hain ahl-e-wafa aur bhi hain ek hum hi nahin duniya se khafa aur bhi hain hum pe hi khatm nahin maslak-e-shorida-sari chaak-e-dil aur bhi hain chaak-e-qaba aur bhi hain kya hua gar mere yaron ki zabanen chup hain mere shahid mere yaron ke siwa aur bhi hain sar salamat hai to kya sang-e-malamat ki kami jaan baqi hai to paikan-e-qaza aur bhi hain munsif-e-shahr ki wahdat pe na harf aa jae log kahte hain ki arbab-e-jafa aur bhi hain