hamari pyas ko itna jagaya hai muqaddar ne ki ek qatre ko bhi dariya banaya hai muqaddar ne kabhi tufan se takrae kabhi maujon se lad baithe hamein haalat se ladna sikhaya hai muqaddar ne hamari chahaton ki shab bhi guzri waqt se pahle hamein ek khwab aisa bhi dikhaya hai muqaddar ne na koi aarzu hai ab na koi justuju mujh ko mujhe kyun zindagi se ab milaya hai muqaddar ne jahan manzil to hasil hai magar apna nahin koi mujhe kyun aise raston par chalaya hai muqaddar ne rulaya hai sataya hai jalaya hai ki ai 'talib' sitam ka har tariqa aazmaya hai muqaddar ne