ek paikar hai ki imsal mein aata hi nahin jaise aaina khad-o-khal mein aata hi nahin aasman ka ye qafas qaid kare bhi kaise dil wo panchhi ki par-o-baal mein aata hi nahin hum jise dekhte hain us ke alawa bhi hai ek zamana jo mah-o-sal mein aata hi nahin apne rahne ko bhi kiya shahr mila hai jis ka haal ye hai ki kisi haal mein aata hi nahin manta kab hai kisi sud-o-ziyan ko ye dil aisa wahshi hai kisi chaal mein aata hi nahin