hamari qismat mein kya likha hai pata nahin hai

hamari qismat mein kya likha hai pata nahin hai
suna hai mehnat ka falsafa hai pata nahin hai

tu apni duniya se meri duniya bisar baitha
ya ab bhi mujh mein hi mubtala hai pata nahin hai

bata ki aurat ke sab masail ka hal hai aansu
ya us ka aansu hi masala hai pata nahin hai

pata nahin hai ki hum ko dar-asl kya pata hai
ki hum ko dar-asl jo pata hai pata nahin hai

hamare aage hazar manzar badal rahe hain
ye kin manazir pe man ruka hai pata nahin hain

har ek zaman-o-makan mein sach ka badalna tai hai
so hum ko fil-waqt jo pata hai pata nahin hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close