na baz aae tum apni han kahte kahte magar thak gai ye zaban kahte kahte zabardast zid ne kiya dil ko zakhmi jigar shaq hua han mein han kahte kahte bache khub baatil ki aaraiyon se har ek baat par al-aman kahte kahte kisi ki na dekhi kabhi mehrbani zaban thak gai mehrban kahte kahte ubharti gain tan-o-tishna se qaumen nishan ban gaya be-nishan kahte kahte hamein tum ne aakhir kahin ka na rakkha zamane ki nairangiyan kahte kahte na tafriq kuchh dost dushman mein rakkhi hue bad-guman bad-guman kahte kahte kiya shauq ne roz-e-raushan mein zahir khula raaz-e-baatin nihan kahte kahte lage hath malne zamane ke ghafil hui khatm jab dastan kahte kahte isi tarah aaya hai rah-e-amal par jahan ka har ek karwan kahte kahte magar tum na samjhe nasihat kisi ki zamin ban gai aasman kahte kahte kahte na mayus ho qaum se apni 'kubra' ki tal jaegi ye khizan kahte kahte