hamari tarah koi dusra hua bhi nahin wo dard dil mein rakha hai jo la-dawa bhi nahin hamara dard ajab marhale mein hai ki jahan wo be-sukhan bhi nahin aur lab-kusha bhi nahin usi ko dekhti rahti hai chashm-e-shauq mudam jo gham abhi sar-e-shakh-e-alam khula bhi nahin ajib tarah se raushan hui hai khalwat-e-gham ki raushni hai bahut aur diya jala bhi nahin ye dasht-e-shauq bahut aafiyat-gazida hai ki ab yahan pe to imkan-e-naqsh-e-pa bhi nahin guzar hai kaisi fazaon se aaj tair-e-ishq ki zer-e-bazu-e-parwaz ab khala bhi nahin main aise shakhs ko zindon mein kya shumar karun jo sochta bhi nahin khwab dekhta bhi nahin ye ishq khak hi hone ka nam tha so hamein sila mila bhi bahut aur sila mila bhi nahin ye asr-e-nau ki chitaon mein aag kaisi hai ki ruh rakh hui aur badan jala bhi nahin tamam umr ajab waza-dariyon mein kati use aziz rakha jo hamara tha bhi nahin