hamein khabar bhi nahin yar khinchta hai koi hamare beach mein diwar khinchta hai koi ye kaisa dasht-e-tahayyur hai yan se kuch karo hamare panw se raftar khinchta hai koi hai chaak chaak hamare lahu ka pairahan hamari ruh se jhankar khinchta hai koi main chal raha hun musalsal bina tawaqquf ke mujhe ba-surat-e-parkar khinchta hai koi yahan to mal-e-ghanimat samajh rahe hain sabhi qaba bachao to dastar khinchta hai koi use sikhao ki tahzib-e-guftugu kya hai zara si baat pe talwar khinchta hai koi hai mera nam bhi is mahzar-e-shahadat mein mujhe bhi lashkar-e-inkar khinchta hai koi munaf-e-jazb-e-darun main hun in dinon 'shahid' mujhe ek aks-e-pur-asrar khinchta hai koi