hamari zat mein baste sabhi hain hum achchhe hain to phir achchhe sabhi hain yaqin kaise karen wade pe tere yahi wada hai jo karte sabhi hain dikhai kyun nahin deta kisi ko khuda ki khoj mein nikle sabhi hain mere andar faqat qatra nahin hai samundar jhil aur jharne sabhi hain zamin par aaega wo aasman se nazara dekhne thahre sabhi hain chali thi ek hawa kuchh der pahle usi ke khauf se sahme sabhi hain sabaq lete nahin hum kyun kisi se hamare samne qisse sabhi hain