har taraf nala-o-fariyaad ke manzar dekhen tujh ko dekhen ki tera shahr-e-sitamgar dekhen dur se wo nazar aaega bas ek sae sa us ko dekhen to zara pas bula kar dekhen chand suraj na sitare hain hamare bas mein ek mitti ka diya hai so jala kar dekhen hum badal sakte hain khud ko ye badi baat nahin shart itni hai ki bahar nahin andar dekhen mom sa us ka badan hai yahi kahte hain sab ji mein aata hai chalo aaj use chhu kar dekhen aaj akhbar mein aai hai ghazal 'haaris' ki aadmi khub hai kaisa hai sukhnawar dekhen