hamari zindagi ki is tarah har sham hoti hai

hamari zindagi ki is tarah har sham hoti hai
kabhi ye khas hoti hai kabhi ye aam hoti hai

mohabbat bhi kisi insan ke barbaad hone ka
kabhi aaghaz hoti hai kabhi anjam hoti hai

kabhi ek waqt tha har sham tere nam hoti thi
abhi wo waqt hai har sham hi be-nam hoti hai

purane daur mein sachchi mohabbat hoti thi sab ko
abhi ke daur mein to bas wafa nilam hoti hai

safar is zindagi ka us jagah pahuncha hai ab mera
musafir ko jahan taklif bhi aaram hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close