hamare jine ki aasani chhin leta hai jaga ke pyas khuda pani chhin leta hai shab-e-firaq wo aati hai khwab mein milne ye wasl hijr ki virani chhin leta hai main dekh leta hun hansta hua tera chehra ye meri sari pareshani chhin leta hai farebi dost pe kaise main eatibar karun ye jazba shahon se sultani chhin leta hai wo mangta nahin hai apna haq kisi se bhi wo mangta nahin hai yani chhin leta hai