hamari zist ka ek ek bab khul jae khudaya hum pe hamari kitab khul jae phir is ke baad ye dasht-o-daman bhala kya hain jo ghaur-o-fikr karen aaftab khul jae zamin pe rasta aae nazar to kya hai ajab ye rasta to miyan zer-e-ab khul jae khatib chikhta hai roz hi sar-e-mimbar majal kya hai jo hum par khitab khul jae na jaane kab se dar-e-khwab par hai qufl pada khudaya ab to koi hum pe bab khul jae hamare farz ka daftar to khol dala hai waraq huquq ka bhi ek janab khul jae 'obaid' dena hai hum sab ko imtihan ek din duaen kije ki hum par nisab khul jae