hamesha us ki manen ye gawara bhi nahin hota baghair us shakhs ke lekin guzara bhi nahin hota khuda jaane ki ab yusuf kharide kyon nahin jate ba-zahir is tijarat mein khasara bhi nahin hota zaruri to nahin ki har dua manzur ho jae magar is se bada koi sahaara bhi nahin hota mohabbat ki hararat se pighal jate hain patthar bhi sawa neze pe suraj ko utara bhi nahin hota yunhi manus aawazen sunai deti rahti hain kisi ne jaane wale ko pukara bhi nahin hota talluq sab se rakhte hain magar teri wasatat se tumhaara jo nahin hota hamara bhi nahin hota