hamdardi ki zara bhi zarurat nahin mujhe ehsan koi uthane ki aadat nahin mujhe han lalchi hun aur ziyaada ki hai hawas itne qalil par to qanaat nahin mujhe darkar thi jo chiz wo na-paid ho chuki wafir wahi hai jis ki zarurat nahin mujhe sab kuchh bigad ke hi na rakh dun kise khabar is kaam mein zara bhi mahaarat nahin mujhe wo baat bas umumi rawayyon ke bare thi tum se wagarna koi shikayat nahin mujhe tum hote ho to lagta hai sab kuchh bhara bhara jaise kisi bhi chiz ki qillat nahin mujhe ek rae mae-dalil yahan pesh karni hai maqsud warna apni wakalat nahin mujhe aaram hi mein itna main mashghul hun ki ab aise fuzul kaamon ki fursat nahin mujhe andar to khair dur ki filhaal idhar kahin bahar bhi baithne ki ijazat nahin mujhe har kaam karta hun bade aaram se main 'gul' aur is muamle mein to ujlat nahin mujhe