mujhe ras aa gai hai yahi haalat-e-pareshan kabhi sham sham bijli kabhi gam gam tufan meri sham gul-badaman meri shab shab-e-charaghan tere dam qadam se kya kya hai farogh-e-ah-e-sozan main jahan jahan bhi thahra shab-e-tar ke sahaare wahi raqs-e-ahuan tha sar-e-daman-e-bayaban dil-e-zar de sanbhaala ki rah-e-wafa kathin hai kahin rahguzar ke kante mujhe kar na den pasheman isi raushni se lekin wo hikayaten hain zinda mere dost bujh na jae ye charagh-e-ahd-o-paiman ba-hazar sarfaroshi wo nazar nibha raha hun mujhe ye nahin gawara ki ho khwab-e-gham pareshan mujhe aasra hai 'nazish' ki abhi nahin to aage mere khun-e-dil se hoga rah-e-shauq mein charaghan