hamein bhi kaam bahut hai khazane se us ke zara ye log to utthen sirhane se us ke yahi na ho ki tawajjoh hata le wo apni ziyaada der na bachna nishane se us ke wo mujh se taza mohabbat pe raazi hai lekin usul ab bhi wahi hain purane se us ke wo tir itni riayat kabhi nahin deta ye zakhm lagta nahin hai gharane se us ke wo chadh raha tha judai ki sidhiyan 'khurram' sarak raha tha mera hath shane se us ke