khauf ki aisi na bimari lage sach wo bole to adakari lage sahibon se har ijazat lo magar muskurana bhi na sarkari lage sab miyan haalat par mauquf hai phul bhi talwar se bhaari lage ai farishto sar na dhalkana mera maut bhi aae to sardari lage bhad mein jae ye tahzib-e-kalam baat kahne mein bhi dushwari lage wo ghazal-abaad mein rahta hai nur kyun na us ka har sukhan kari lage