hamein kaun puchhe hai sahibo na sawal mein na jawab mein

hamein kaun puchhe hai sahibo na sawal mein na jawab mein
na to koi aadmi jaane hai na hisab mein na kitab mein

na to ilm apne mein hai yahan ki khuda ne bheja hai kis liye
isi ko jo kahte hain zindagi so to jism ke hai azab mein

yahi shakl hai jise dekho ho yahi waza hai jise ghuro ho
jise jaan kahte hain aadmi use dekha aalam-e-khwab mein

main khilaf tum se nahin kaha ise mano ya ki na mano tum
main ne apni aankhon se dekha main ki mila hun us ki janab mein

na sunoge 'soz' ki guftugu jo phiroge dhundne ku-ba-ku
ye nasha hai us ke bayan mein ki nahin nasha hai sharab mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close