ghamza-e-chashm sharmsar kahan sar to hazir hai tegh-e-yar kahan gul bhi karta hai chaak apna jaib par gareban sa tar tar kahan ho ghazalon ko us se ham-chashmi tikhi chitwan kahan khumar kahan andalibon ne gul ko gher liya ek jewda kahan hazar kahan ek din ek shakhs ne puchha mir sahab tumhaara yar kahan main ne us se kaha ki sun bhai ab mujhe us talak hai bar kahan gah-gahe salam karta hai par wo baaten kahan wo pyar kahan zindagi tak sitam to sah le 'soz' phir to ye zulm bar bar kahan