hamein kuchh aur jina hai to dil ko shad rakkhenge bahut kuchh bhul jaenge bahut kuchh yaad rakkhenge abhi kuchh aur kartab dekhne bhi hain dikhane bhi tamasha-gah-e-alam hum tujhe aabaad rakkhenge agar ghar ka khayal aaya to rasta bhul jaenge safar mein dasht ko jate hue hum yaad rakkhenge muqabil aaenge har bar taza hausla le kar tujhe hum aazmaish mein sitam-ijad rakkhenge purani ho gai duniya use mismar karna hai nai tamir ki khatir nai buniyaad rakkhenge