hawa-e-sham na jaane kahan se aati hai wahan gulab bahut hain jahan se aati hai ye kis ka chehra damakta hai meri aankhon mein ye kis ki yaad mujhe kahkashan se aati hai isi falak se utarta hai ye andhera bhi ye raushni bhi isi aasman se aati hai ye kis ne khak uda di hai lala-zaron mein zamin pe aisi tabahi kahan se aati hai sada-e-girya jise ek main hi sunta hun hujum-e-shahr tere darmiyan se aati hai