hamein miTa ke zindagi ‘azab-e-zindagi na ho

hamein mita ke zindagi ‘azab-e-zindagi na ho
hamari khak mein nahib sa’iqa chhupi na ho

malal hi mein hai khushi firaq mein visal hai
khushi na ho to gham na ho jo gham na ho khushi na ho

na dekh lutf-e-zindagi maal-e-zindagi bhi dekh
ye zindagi haqiqatan fareb-e-zindagi na ho

badhi hui hain dahr mein sitam ki be-panahiyan
kahin is inqalab ko hawa kisi ne di na ho

sharar-o-sho'la ko tu kyon samajh raha hai lala-zar
numud-e-zindagi teri sarab-e-zindagi na ho

hamari talkh-kaamiyan badhin to kuchh bhi gham nahin
magar ye khauf hai kahin tumhein bhi bekali na ho

hawadis-e-zamana se kabhi na khauf kar 'zaki'
jo aaj tujh ko gham na ho to kal tujhe khushi na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close