hamein na dekhiye hum gham ke mare jaise hain ki hum to waise hain us ke ishaare jaise hain ye wasl, wasl ki mad mein ghalat shumar kiya ki us ke sath bhi yunhi kinare jaise hain tilism-e-chashm salamat rahe ki jis ke sabab kahin hain phul kahin hum sitare jaise hain wo jaanta hai jabhi dur bhagta hai bahut wo jaanta hai hum us ko khasare jaise hain hum aaj hanste hue kuchh alag dikhai diye ba-waqt-e-girya hum aise the, sare jaise hain use kaho ki sitare shumar to na kare kaho qadam dhare, chhode utare jaise hain ye gham ke phul hain ya sher dekhiye aur bas hamein pata hai ki hum ne nikhaare jaise hain