aag ashk-e-garm ko lage ji kya hi jal gaya aansu chu us ne ponchhe shab aur hath phal gaya phoda tha dil na tha ye mue par khalal gaya jab thes sans ki lagi dam hi nikal gaya kya roun khira-chashmi-e-bakhti-e-siyah ko wan shaghl-e-surma hai abhi yan sail dhal gaya ki mujh ko hath malne ki talim warna kyun ghairon ko aage bazm mein wo itr mal gaya us kuche ki hawa thi ki meri hi aah thi koi to dil ki aag pe pankha sa jhal gaya jon khuftagan-e-khak hai apni fatadgi aaya jo zalzala kabhi karwat badal gaya us naqsh-e-pa ke sajde ne kya kya kiya zalil main kucha-e-raqib mein bhi sar ke bal gaya kuchh ji gira pade tha par ab tu ne naz se mujh ko gira diya to mera ji sambhal gaya mil jae gar ye khak mein us ne wahan ki khak gul ki thi kyun ki panw wo nazuk phisal gaya but-khane se na kabe ko taklif de mujhe 'momin' bas ab muaf ki yan ji bahal gaya