hamein nahin aate ye kartab nae zamane wale

hamein nahin aate ye kartab nae zamane wale
hum to sidhe log hain yaro wahi purane wale

un ke hote koi kami hai raaton ki raunaq mein
yaaden khwab dikhane wali khwab suhane wale

kahan gain rangin patangen lattu kanch ke bante
ab to khel bhi bachchon ke hain dil dahlane wale

wo aanchal se khushbu ki lapten bikhraate paikar
wo chilman ki ot se chehre chhab dikhlane wale

baam pe jaane wale jaanen us mahfil ki baaten
hum to thahre us kuche mein khak udane wale

jab guzroge un raston se tapti dhup mein tanha
tumhein bahut yaad aaenge hum sae bichhane wale

tum tak shayad der se pahunche mera mohazzab lahja
pahle zara khamosh to hon ye shor machane wale

hum jo kahen so kahne dena sanjida mat hona
hum to hain hi shaer baat se baat banane wale

achchha pahli bar kisi ko meri fikr hui hai
main ne bahut dekhe hain tum jaise samjhane wale

aise labaalab kab bharta hai har ummid ka kasa
mujh ko hasrat se takte hain aane jaane wale

saffaki mein ek se hain sab jin ke sath bhi jao
kabe wale is jaanib hain wo but-khane wale

mere shahar mein mang ab to bas un logon ki hai
kafan banane wale ya murde nahlane wale

git rasile bol sajile kahan sunoge ab tum
ab to kahta hai 'irfan' bhi sher rulane wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close