tumhaare aalam se mera aalam zara alag hai ho tum bhi ghamgin magar mera gham zara alag hai yahan pe hansna rawa hai rona hai be-hayai suqut-e-shahr-e-junun ka matam zara alag hai khulenge shakhon ke raaz ahl-e-chaman par ab ke girah girah se ulajhti shabnam zara alag hai tere tasawwur ki dhup odhe khada hun chhat par mere liye sardiyon ka mausam zara alag hai zara sa badla hua hai tarz-e-kalam 'sabir' wahi purane hain lafz dam-kham zara alag hai