hamein nazdik kab dil ki mohabbat khinch lati hai tujhe teri mujhe meri zarurat khinch lati hai chhupa hai jo khazana tah mein in banjar zaminon ki use bahar zamin se meri mehnat khinch lati hai main mazi ko bhula kar apne mustaqbil mein zinda hun nigahon se hai jo ojhal bashaarat khinch lati hai mera dushman meri aankhon se ojhal ho nahin sakta mere nazdik us ko dil ki nafrat khinch lati hai samundar par jaane wale ek dan laut aaenge mera iman hai mitti ki mohabbat khinch lati hai jo apna ghar kisi ke ishq mein barbaad karte hain unhen sahra mein un ke dil ki wahshat khinch lati hai kabhi hota hai jo viran mere shahr ka maqtal kisi mansur ko 'arif' sadaqat khinch lati hai