jamal-gah-e-taghazzul ki tab-o-tab teri yaad pa tangnae-ghazal mein samae kab teri yaad kisi khandar se guzarti hawa ka nam! tera gham!! shajar pe girti hui barf ka tarab teri yaad tu mujh se mere zamanon ka puchhti hai to sun! tera junun, tera sauda, teri talab, teri yaad guzar-gahon ko ujadne nahin diya tu ne kabhi yahan se guzarti thi tu, aur ab teri yaad ye qaid-e-umr to katti nazar nahin aati! bas ek qarina! tera dhyan, ek dhab! teri yaad ba-faiz-e-dard-e-mohabbat main khush nasab, main najib! mera qabila tera gham, mera nasab teri yaad ba-juz hikayat-e-tu in wajud-e-chiz-e-nist main kul ka kul tera qissa main sab ka sab teri yaad darin guman-kada kullo-man-alaiha-fan bas ek chhalawa mera ishq, ek chhab teri yaad bahar sabil-e-hunar ka safar to jari hai kabhi kuchh aur bahana, kabhu sabab teri yaad