hamein pine-pilane ka maza ab tak nahin aaya ki bazm-e-mai mein koi parsa ab tak nahin aaya sitam bhi lutf ho jata hai bhole-pan ki baaton se tujhe ai jaan andaz-e-jafa ab tak nahin aaya dam-e-akhir the baalin pe jo aane ko wo aae bhi to hans kar kah gae waqt-e-dua ab tak nahin aaya sahar hote bujhae kaun ai sham-e-lahad tujh ko koi jhonka nasim-e-subh ka ab tak nahin aaya khuda jaane hua kya kucha-e-jaanan mein dil ja kar mera bhula hua bhatka hua ab tak nahin aaya gaya tha kah ke ye qasid ki ulte panw aata hun kahan kambakht ja kar mar raha ab tak nahin aaya jise tum koste ho umr us ki aur badhti hai tumhein sab kuchh to aaya kosna ab tak nahin aaya sitam karna dagha karna ki wade ka wafa karna batao kya tumhein aaya hai kya ab tak nahin aaya kisi ne koi dushman mein chhupa dala mita dala gali to aai un ka naqsh-e-pa ab tak nahin aaya ye kya insaf hai sayyaad chhode qaid se mujh ko ki aisa koi murgh-e-khush-nawa ab tak nahin aaya bata den aa gaya kya tum ko is uthti jawani mein bata den kan mein chupke se kya ab tak nahin aaya butan-e-naznin jab dekhte hain mujh se kahte hain tumhaari jaan par qahr-e-khuda ab tak nahin aaya kiya hasrat se rukhsat subh ke taron ko ye kah ki jis ka sham se tha aasra ab tak nahin aaya ye ghaflat hai ki mahshar mein bhi aankhen band hain meri samajhta hun yahi roz-e-jaza ab tak nahin aaya na phuti koi kopal tak meri shakh-e-nasheman mein khizan ke baad mausam dusra ab tak nahin aaya diya ho to diya ho kuchh payam-e-shauq aankhon ne mere lab par to harf-e-muddaa ab tak nahin aaya is ubhre ubhre joban par yunhi wo baithe rah jate unhen uthti jawani ka maza ab tak nahin aaya wo din aae mere sarkar ahl-e-bazm se puchhen kahan hai kyun 'riyaz'-e-khush-nawa ab tak nahin aaya