yaad mujhe dila gai meri wo bewafaiyan aankh mein us ki naqsh thin kitni kathin judaiyan chehre pe kya azab the aankh mein kitne khwab the hont khuli kitab the kahte the sab kahaniyan phaili thi us ke aas-pas gahri udasiyon ki bas jhank rahi thi sakht pyas dahak rahe the jism-o-jaan palkon pe guzri saaten lab par gile shikayaten aansuon mein hikayaten dhadkanen sans siskiyan lafz the kuchh kate kate sans bhi the bate bate baal the gard mein ate chehre pe thin hawaiyan 'sham' hawa ki siskiyan din ke lahu ki surkhiyan dard-bhari ye dastan phaili hain sab karan karan