hamein sab ahl-e-hawas na-pasand rakhte hain ki hum nawa-e-mohabbat buland rakhte hain isi liye to khafa hain sitam-shiar ki hum nigah-e-narm o dil-e-dardmand rakhte hain agarche dil wahi rajat-pasand hai apna magar zaban taraqqi-pasand rakhte hain hum aise arsh-nashinon se wo darakht achchhe jo aandhiyon mein bhi sar ko buland rakhte hain chale ho dekhne 'mushtaq' jin ko pichhli raat wo log sham se darwaza band rakhte hain