chheDte hain gudgudate hain phir arman aaj-kal

chhedte hain gudgudate hain phir arman aaj-kal
jhute sachche koi kar le ahd-o-paiman aaj-kal

ghont de mera gala kuchh zor agar us ka chale
hath se mere hi tang itna gareban aaj-kal

chadh gae diwar-e-zindan par kabhi utre kabhi
hum bane hain saya-e-diwar-e-zindan aaj-kal

roz raaton ko suna karta hun ye aawaz-e-qais
phade khata hai mujhe khali bayaban aaj-kal

ai urus-e-tegh kuchh tujh ko haya bhi chahiye
kyun gale padti hai tu ho ho ke uryan aaj-kal

sang-dil kafir ka shayad tutte dekha hai kufr
tut kar milte hain mujh se is ke darban aaj-kal

aa gaya aisa hi ab kafir zamana kya karen
dabe phirte hain baghal mein log iman aaj-kal

raat-din hai meri turbat par hasinon ka hujum
dekhne ki chiz hai gor-e-ghariban aaj-kal

din ko roza id shab ko hai ajab shaghl-e-'riyaz'
raat-bhar pita hai ye mard-e-musalman aaj-kal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close