hamein tabir pahle di gai phir khwab utre kitab-e-zindagi ke is tarah kuchh bab utre meri aankhon se le le raushni aur nur kar de kisi qimat pe malik manzar-e-shab-tab utre khule bartan utha kar rakh diye jo barishon mein yahan wo rah gae khali wahan sailab utre tahaif ki jinhen ummid thi wo muntazir hain musafir aa chuka hai ab zara asbab utre bahut aansu bahae chahaton ki ibtida mein badi mushkil se hum par ishq ke aadab utre samundar ne kahani mukhtasar kar ke kaha bas bahut girdab utre aur bas girdab utre khizan se nisbaten itni purani aur phir bhi unhi logon pe lahje is qadar shadab utre