gardish-e-dasht-e-tamanna se mila kuchh bhi nahin ghalghala hone ka sunte the hua kuchh bhi nahin har haqiqat wahima hai wahima kuchh bhi nahin dekhne mein sab khuda hai aur khuda kuchh bhi nahin jazba-e-tamir mein ek khwahish-e-takhrib thi kuchh banana tha use lekin bana kuchh bhi nahin jab se chizon ki haqiqat se hua hun aashna dekhta hun par dikhata aaina kuchh bhi nahin lauh ek mahfuz hai aur is liye mahfuz hai us ne apne hath se is par likha kuchh bhi nahin aks hairat-gah mein bikhre hue hain har taraf jabki hairat-gah mein mere siwa kuchh bhi nahin