hamein to ab ke bhi aai na ras tanhai tumhin batao ki hai kis ke pas tanhai use bhi ab ke bahut ranj-e-narsai hai khadi hai shahr ki sarhad ke pas tanhai isi liye to na sahra mein hai na basti mein ki ho na jae kahin be-libas tanhai tawil hijr ne donon ko yun kharab kiya ki us ke pas na ab mere pas tanhai andheri raat mein aankhon mein khwab ki surat kabhi kabhi nazar aai udas tanhai