kisi ko kab wo apne dil ka kuchh ahwal deta hai main us se baat karta hun wo mujh ko tal deta hai koi to hai jo is hairat-sara-e-nur-o-zulmat mein sitare ko ziya aaine ko timsal deta hai bahut inkar karta hai sawal-e-wasl par lekin khafa ho jaun to gardan mein banhen dal deta hai koi chehron ka saudagar chhupa hai is kharabe mein purani suraten le kar nai ashkal deta hai main jis lamhe guzarte waqt ko mahsus karta hun wo ek lamha 'farasat' ranj-e-mah-o-sal deta hai